Google

Thursday, July 27, 2006

Akelapan
Deepa! Mujhe bataogi tum kuon ro rahi ho..kya ho gaya hai tumhe!! kuon ro rahi ho..Amit mujhe akela chod doge plzzz.. Nahi pehle bato kya hua...
Deepa - Mat koshish karo amit tum nahi samaj paoge.. Aaj tak koshish bhi ki hai samjne ki jo aaj samajna chahte ho..
Amit -Deepa plz... mera patience ka test mat lo..mujhe batoge..!!
Deepa - Amit tumhe pata hai akelapan kya hota hai... apno ke hote hue bhi akela hona kaisa lagta hai
Amit - Akelapan!!! ab yeah kahan se beech mein aaya..
Deepa - tabhi to main keh rahi hun..mat samjne ki koshish karo! nahi samaj paoge..
Amit ne deepa ki taraf dekha..aur hamesha ki tarah..usse uske vicharo mein chod ke kamere sebahar chala gaya.. chod gaya deepa ko phir se apni uljano mein akela...Deepa na chah kar bhi akeli reh gayi..

deepa aur amit ek hi college mein padte the..deepa dikhne mein behle hi sadharan thi..lekin umango se bahri thi..ek josh sa tha..ekdum bacchi si..jiske mann mein kisi ke liye koi mail nahi.. jab uska naam pehli baar amit ke sath juda to woh hairaan reh gayi.. usko to jaise chand hi mil gaya tha..Amit na kewal dekhne mein smart tha balki batchit mein bhi chatur tha.. Amit ke jeevan mein aate hi jaise deepa ko sab kuch mil gaya tha.. bahut khush thi.. college khatam hone ke baad amit mba karne chalagaya.. deepa job mein busy ho gayi.. itni lambi judai bhi deepa ko amit se dur nahi kar payi thi..mohabatt ne pukara to deepa sab kuch chod chad kar amit ke sath rehne blore aa gayi.. Amit ke pass rehne kiicha ne usse sab niyamo ko todne pe majboor kar diya..usne apne dost..apne janene walo ki parvah na karte hue bhi bina shadhi ke amit ke sath rehna suru kar diya.. Suru suru mein to sab sapno sa lag raha tha.. usne apni duniya sirf amit ke aas pass hi bana li..ab uske liye career..job kuch mayne nahi raktha tha..bus uska ghar.. sab acha chal raha tha..Usne amit ke har sukh dukh mein sath diya tha... uske sabse muskil samay mein uska sath diya..Ab amit ki job lag chuki thi..woh financially independent ho gaya tha.. office mein mehnat ke karan jaldi recognition bhi mil gayi.. aur dusri ladkiyo ka sath bhi.. apni job ki excitement mein woh deepa ko kab bhulta chala gaya usse bhi nahi pata.. woh deepa jiske nakhre kabhi usse adaye lagti thi ab un pe ghussa aane laga tha..deepa ka bachpana usse irritate karta tha..uski life ki priorities change ho rahi thi..deepa ka apni raye dena jo pehle healthy argument lagta tha..ab woh baat katna lagta tha..


Aaj deepa khud hi soch ke hairan thi ki usne apne aap ko kahan kho diya.. uske jitne bhi shok the ab amit ko paise ki barbadi lagte the..pehle woh thodi salary..bade phone bil ke baad bhi apne shok pure kar leti thi..aaj itni sal hone ke baad bhi taras kar reh jati hai..kuch kharidne se pehle sochna padta hai..ki aage kuch aur bade kharche hai jinke liye paisa bachana padega..life ki priorities change ho rahi hai jinhe samajne mein deepa asamarth hai aur amit..uske pass kahan hai uski baatein uske sapne share karne ka time...uske maa baap..to aaj sath hote hue bhi sath nahi hai..unhone samaj ki izzat aur beti ke sukh ke liye rista maan to liya tha..lekin kahin na kahin ek duri aa gayi thi.. ab unhe deepa ek independent..working woman lagti thi jo apne faisle le sakti thi..ab deepa un se bhi to nahi keh sakti thi.. kaise kehti ki amit kuch badlne se lag gaya hai.woh jo pehle uske peeche bhavron ki tarah tha.. aaj kal uska thoda sa dhyan pane ke liye deepa kya kya nahi karti..ek ghutan si hone lagi thi usse..uske soch ne gabrahat ka roop le liya tha.. ghabrayi hui deepa aur kya karti..kuch neend ki goliya li aur so gayii..apne ko ek naye jang ke liye taiyar karti hu..apne ko dhundti hui.. sapno mein apne ateet ko dekti hui..so gayi.. aur apne behtar kal ki umeed karti hui..apne bache hue self respect ko ikhat karti hui..

5 Comments:

At 28 July, 2006, Blogger Has to be me said...

Oopsy thats a sad story :( Not worth doing so muchfr person who doesnt realise the value of true love. Bechari Deepa.

 
At 02 August, 2006, Blogger Dhanush | ധനുഷ് said...

I am here only. More active blog is http://chall-dhanno.blogspot.com

 
At 12 August, 2006, Anonymous Anonymous said...

Very best site. Keep working. Will return in the near future.
»

 
At 17 August, 2006, Anonymous Anonymous said...

Great site lots of usefull infomation here.
»

 
At 08 February, 2010, Anonymous Anonymous said...

conflicting engagement responding explorer eureka wellbeing poulenc foundations shaking terrorist refuse
lolikneri havaqatsu

 

Post a Comment

<< Home